rediff ILAND
Welcome Guest, | Create your own iLand| Sign In  | New User? Get Started
Home
iLand
Blogs
Friends/Contributors
Guestbook  
 
saiz
Categories
Poetry
NOTES ON LIFE
Blogs
My Top Posts
Ek Sharaarat...
What is an RSS feed?
RSS Feed 
saizna.rediffiland.com/ 
Recent Posts
 13:27 | 6/May/2008 | 7 Comment(s)
ambedkar smaarak in lucknow

मायाबती जी इन दिनो लखनऊ में अंबेडकर स्मारक बनबा रही हैं.
पहले से निर्मित ये स्मारक तोड़-तोड़कर दोबारा बनाया जा रहा है.
जितनी बार ये सत्ता में आएगीं,यही स्मारक तोड़ -तोड़कर दोबारा बनबाती रहेगीं.करोडो पहले खर्च किये थे, करोडो अब खर्च कर रही हैं .
ये कारनामा इतिहास में जितने भारी शब्दों मे लिखा जाएगा उसके बोझ से आज पूरा उ.प्र. दबा है.

जो खर्च विकास कि बड़ी योजनाओं पर होना चाहिए था वो अंबेडकर स्मारक के पुनर्- निर्माड़ में हो रहा है.

इनकी सनक मो.तुग़लक़ की सनक से भी बड़ी है.

ये जनता का पैसा है, जो इनकी सनक पर खर्च हो रहा है.

लखनऊ में गोमतीनगर का अधूरा पुल मायाबती जी को भले ही न दिखे, लेकिन अंबेडकर स्मारक की चारदीवारी के गुलाबी पत्थरों के नीचे दबी उ.प्र. की तकलीफें और संसाधन हीनता आगे सबको नज़र आएगी.

Permalink 
 17:31 | 5/May/2008 | 0 Comment(s)

RISHTE
INME KOYI ISTHIRTAA NAHI HOTI ,
JB,JAISA AUR JITNA AAP MAINTAIN KARTE HAI,
YE BAS UTNAA HI CHHALTE HAI.

JINHE AAP BAHUT APNAA SAMAJHTE HAI,
WO BHI MAINTINENCE MAGTE HAI,
NAHI TO BAND MUTHTHI ME RET KI TARH
JHAR JATE HAI.

IS LIYE JINHE TUM APNAA SAMAJHTE HO,
UNKA HARDAM KHAYAAL BHI RAKHO,
BOLE TO KEEP IN TOUCH.


Permalink 
 16:24 | 5/May/2008 | 0 Comment(s)
Ek Patra Usko

jane jahan is zindgi mai hamse aankhe chaar kar,
ho sake is dard se tu bhi kabhi du-char
kar,

rahate kahan ho khwaab mai,fariyaad ke hathoon se door
is zameen per,is tapan mai,tu kisi se pyaar kar.


kahte hai sab tera hi zalwa,tera hi sab noor hai,
zarre se mil,uske kabhi tu bhi zara hamraah chal.


aisi tadap milti kahaan,zannt me ho jiska jaaan,
aakhen ho farshe-raah per ,tu aisa intezaar kar.


kyaa pata wo ho tadapte,ham sulaa to aaye hai,
ho sake to saire-Gaah,apni tu kabristaan kar.
 

Permalink 
 11:42 | 5/May/2008 | 4 Comment(s)
Ek Sharaarat

Ek sharaat maine ki hai,
khol di ghar ki khirki hai.
Kuchh hawa aane lagi hai,
kuchh sadaa jane lagi hai.


Khirki se rasta dikhta hai,
ghar me mera dam ghut ta hai.
Door tak ek aasman hai,
ye nazar aane lagaa hai.


Darwaaze pe sankal hogi,
per khirki meri apni hai,
Aasman ke chaand-tare,
dhoop-khushbu sab apni hai.

Kiska rasta dekhna hai,
jab quadam mere apne hai
Khirkiyon se raste hain,
ye pataa tumko deti hun.

Permalink