jane jahan is zindgi mai hamse aankhe chaar kar,
ho sake is dard se tu bhi kabhi du-char kar,
rahate kahan ho khwaab mai,fariyaad ke hathoon se door
is zameen per,is tapan mai,tu kisi se pyaar kar.
kahte hai sab tera hi zalwa,tera hi sab noor hai,
zarre se mil,uske kabhi tu bhi zara hamraah chal.
aisi tadap milti kahaan,zannt me ho jiska jaaan,
aakhen ho farshe-raah per ,tu aisa intezaar kar.
kyaa pata wo ho tadapte,ham sulaa to aaye hai,
ho sake to saire-Gaah,apni tu kabristaan kar.